WONTON KI PATIYON K LIYEH 
FILLING K LIYEH
- Chicken Adha Kilo (Baghair Haddi K) 
 
- Lehsan Ka Past 01 Chaye Ka Chamach 
 
- Chines Namak Aik Chothai Chamach 
 
- Dark Soya Sauce 01 Khanay Ka Chamach 
 
- Kali Mirch 01 Chaye Ka Chamach (Kuty Hoe/Powdered) 
 
SOUP K LIYEH 
- Soya Sauce 02 Khanay Ka Chamach 
 
- Hari Piyaz 02 Se 03 Dandiyan (Bareek Kati Hoe) 
 
- Hara Dhaniya Ya Parsley Sajawat K Liyeh 
 
Wonton Ki Patiyon K Liyeh 
- Aik Piyalay Main Medah Dalen 
 
- Phr Osmain Anday Aur Namak Dal Kr Sakht Atay Ki Tarha Goondh Len 
 
- Ab Oski Roti Belain Aur Gattay K Tukray Ka Chokor Katen Aur Oski Madad Se Beli Hoe Roti Ky Chokor Tukray Kaat Len 
 
- Phr On Pr Sath Sath Medah Chirak Kr Onki Taih (Layers) Lagatay Jayen 
 
FILLING K LIYEH
- Murghi K Chotay Chotay Tukray Katen 
 
- Ab Chopper Main Murghi, Lehsan Ka Past, Chinese Namak, Dark Soya Sauce, Kali Mirch, Namak Aur Hari Piyaz Dal Kr Aik Past Banayen. 
 
- Aik Piyali Main Andah Achi Tarha Phaint Len. 
 
- Ab Patiyon Main Past Bharen Aur Kinaron Per Andah Laga Kr Patiyon Ko Band Krte Jayen 
 
SOUP K LIYEH
- Aik Pateli (Degchi) Main Murghi Ki Yakhni, Mashroom, Soya Sauce Aur Hari Piyaz Shamil Kr K Obaal Len 
 
- Jab Tamam Ajzah Achi Tarha Mix Ho Jayen Tou Osmain Wonton Soup Daal Kr Achi Tarha Pakayen 
 
- Jab Who Tayar Ho Jaye Tou Dish Mian Nikal Kr Hara Dhaniya Ya Parsley Sy Sajawat Kren
 
 
 
 
 
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 Back To Top
 
Post A Comment:
0 comments so far,add yours