- Basmati Chawal 01 Kilo (20 Minute K Liyeh Bhigo K Rakhen)
- Anday 04 Adad (Omelet Ki Tarha Phaint Len)
- Hari Piyaz K Patay 01 Piyali (Bareek Kaat Len)
- Lehsan Ka Arak 02 Khanay K Chamach
- Soya Sauce 02 Khanay K Chamach
- Kali Mirch Powder Adha Chaye Ka Chamach
- Daarcheeni 01 Tukra (Taway Per Bhoon Kr Bareek Pees Len)
- Namak Hasb-E-Zaiqa
- Bareek Kati Hoe Gajar 03 Adad
- Sirka 01 Khanay Ka Chamach
- Chinese Namak Adha Chaye Ka Chamach
- Oil 01 Piyali
- Sab Se Pehle Aik Baratan Main Oil Daal Kr Osmain Lehsan Ka Arak Daal Den
- Phir Anday Daal Kr Achi Tarha Fry Kren
- Phir Piyaz K Patay, Gajar, Kali Mirch, Soya Sauce, Aur Sirka Daal Kr 02 Minute Tak Pakayen
- Phir Osmain Chawal Shamil Kr K Achi Tarha Bhoonain Yahan Tak K Chawal Brown Color K Honay Lagen
- Ab 04 Piyali Pani Shamil Kr K Dhak Den
- Jab Pani Khushk Hone Lagay Tou Halki Aanch Per Dam Per Rakh Den
- Phir Oper Se Chinese Namak Chirak Den Aur Sath He 02 Chamach Soya Sauce Daal Den Sath Pisi Hoe Daarcheeni Bhi Daal Den
Egg Fried Rice Tayar Hain
Post A Comment:
0 comments so far,add yours