- Obli hoe Sabit masoor ki daal 01 pao
- Oblay howe chawal 01 kilo
- Piyaz 2/1 kilo
- Podeenay k patay 01 gathi
- Hara dhaniya 01 gathi
- Timatar 02 adad
- Taiz paat 02 adad
- Lemon 02 adad
- Choti elaichi 04 adad
- Badiyan k phool 04 adad
- Hari mirch 9 se 10 adad
- Tail 02 cup
- Aalu bukharay 50 garam
- Dahi 01 pao
- Haldi 01 chaye ka chamach
- Namak 01 chaye ka chamach
- Kala zeera 01 chaye ka chamach
- Pisi hoe laal mirch 01 khanay ka chamach
- Adak lehsan ka past 01 khanay ka chamach
- Kewra 01 khanay ka chamach
- Zarday ka rang adha chaye ka chamach
- Pisa hua dhaniya 02 chaye k chamach
- Piyaz Main Se Aadhi Piyaz Ko Dahi K Sath Blender Main Pees Len
- Ab Tail Garam Kr K Osmain Piyaz Aur Dahi Daal Den
- Phir Osmain Adrak Lehsan Ka Past, Pisi Hoe Laal Mirch, Namak, Haldi, Pisa Hua Dhaniya, Kala Zeera, Choti Elaichi, Taiz Paat, Badiyan K Phool Aur Aalu Bhukhary Daal Kr Bhoon Len
- Iss K Baad Obli Hoe Sabit Masoor Ki Daal Shamil Kren
- Ab Aik Alag Bartan Main Bachi Hoe Piyaz, Slice Main Katay Howe Lemon, Hari Mirch, Podeena, Hara Dhaniya Aur Timatar Daal Den
- Phir Onn Pr Oblay Howe Chawal Au Roper Se Zarday Ka Rang Aur Kewra Daal Kr 20 Minute Dam Pr Rakhen
Daal Ki Chatpati Aur Mazedar Biryani Tayar Hai
Post A Comment:
0 comments so far,add yours