- Murghi 01 Kilo
- Adrak, Lehsan Ka Past 02 Khane K Chamach
- Pisi Hoe Hari Mirchen 20 Adad
- Piyaz 02 Adad
- Khashkhaash 01 Khane Ka Chamach
- Dagu 01 Cup
- Kuti Hoe Kaali Mirch 01 Chaye Ka Chamach
- Hari Elaichi 04 Adad
- Daar Cheeni 01 Tukra
- Long 06 Adad
- Taiz Paat 01 Adad
- Zeera 01 Chaye Ka Chamach
- Chawal Adha Kilo (30 Min K Liyeh Bhigo K Rakhen)
- Tail Adha Cup
- Namak Hasb-e-Zaiqa
- Murghi Ko Adrak, Lehsan Past, Pisi Hoe Hari Mirch, Pisay Howe Piyaz, Khashkhaash Aur Dahi K Laga Kr 01 Ghantay K Liyeh Rakh Den
- Phr Aik Bartan Main Tail Garam Kr Ky Osmain Pisay Howe Piyaz, Kuti Hoe Kali Mirch, Hari Elaichi, Long, Taiz Paat Aur Zeera Daal Kr 05 Se 07 Minute K Liyeh Itni Dair Pakayen K Piyaz Ka Kacha Pan Khatam Ho Jaye
- Phr Masala Lagae Hoe Murghi Ko Shamil Kr K Mazeed 02 Se 03 Minute K Liyeh Itna Pakayen K Murghi Gal Jaye Aur Tail Oper Ajaye
- Ab 02 Cup Pani Dalen Jab Obaal Anay Lagay Tou Chawal Daal Den Namak Hasb-E-Zaiqa Shamil Kr Len Aur Itni Dair Pakne Den K Pani Khushk Ho Jaye Aur Chawal 03 Chothai Pak Jayen
- Ab Halki Aanch Pr Chawlon Ko 10 Minute Dam De Pulao Tayar Hay
Raitay K Sath Paish Kren
Zaroori malomat
Yeh pulao 04 afard aram se kha sakte hain.Iss tarkeeb ko PDF file main save krne k liyeh nechay click kren
Post A Comment:
0 comments so far,add yours