Articles by "Breakfast"
Showing posts with label Breakfast. Show all posts





  1. Bong Ka Gosht 1 Kilo
  2. Nuly 1 Adad
  3. Namak Hasb E Zaroorat
  4. Pisi Hoe Laal Mirch 2 Chaye K Chamach
  5. Cooking Oil 2 Cup
  6. Adrak Lehsan Ka Past 2 Khanay K Chamach
  7. Aata 1 Cup
  8. Tayar Shuda Nihari Masala 4 Khanay K Chamach
  9. Maida Adha Cup
NIHARI K LIYEH MASALA BANANE K LIYE
  1. Daarcheeni 20 Gram 
  2. Long 40 Gram
  3. Javetri 20 Gram
  4. Sounf 40 Gram
  5. Khashkhaash 40 Gram
  6. Pisi Hoe Surkh Mirch 20 Gram
  7. Elaichi Choti Aur Bari 25 Gram
  8. Jayfal 1 Adad
  9. Kali Mirch 40 Gram
  10. Kachri 10 Gram
  11. Sonth 40 Gram
  12. Pisa Hua Dhaniya 20 Gram

Note: “Masalay K Tamam Ajza Ko Grinder Main Daal Ker Achi Tarha Pees Len Aur Hasb E Zaroorat Iss Recipe Main 4 Khanay K Chamach Dalen Jesa K Oper Bataya Gaya Hay”.


  • Tail Garam Kren Aur Osmain Adrak Aur Lehsan Ka Past Bhoon Len 

  • Phir Gosht K Sath Pisi Hoe Surkh Mirch, Namak Aur Nihari Masala Shamil Ker K Achi Tarha Bhoon Len Zaroorat Paray Tou Pani Ka Halka Sa Cheenta Maar Len. 

  • Ab Osmain Nuli Shamil Ker Kr K 10 Cup Pani Dalen Aur Halki Aanch Per 1 Ghantay Tak Pakne Rakh Den 

  • Ab Aata Aur Maida Pani Main Shamil Ker K Past Bana Ker Gosht Main Shamil Ker Den Aur Chamcha Musalsal Chalatay Rahen 
  • Phir Osay Halki Aanch Per 4 Ghantay K Liye Pakne Rakh Den 
  • Phir Ghee Ya Tail K Sath Piyaz Ka Bhagar Den 
  • Kati Hoe Adrak, Lemon, Hari Mirch Aur Fry Kiye Piaz K Sath Garam Garam Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liye nechay link per click kren:

ANDAY KA KHOYE WALA HALWA





  1. Anday Arahi Darjan
  2. Ghee 1 Kilo
  3. Cheeni 1 Kilo
  4. Khoya 1 Kilo
  5. Elaichi 10 Adad
  6. Pista 20 Gram
  7. Badam 20 Gram






  • Aik Piyalay Main Anday Tor Ker Osmain Ghee Aur Cheeni Shamil Ker K Achi Tarha Mix Ker Len 

  • Ab Aik Pain Main Khoye Ko Bhoonen Aur Nikal Ker Thanda Ker Len 

  • Ab Anday K Mixture Ko Pain Main Daal Ker Halki Anch Per Pakayen 

  • Phir Elaichi, Bhuna Howa Khoya Aur Khanay Ka Rang Shamil Ker K Mazeed 2 Minute Tak Pakayen 
  • Anday Ka Khoye Wala Mazedar Halwa Tayar Hai Serving Dish Main Nikal Ker Pista Aur Badam Se Garnish Ker K Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh download k button per click kren:

LAHORI MURGH CHOLAY






  1. Murghi Dairh Kilo
  2. Cholay 1 Piyali
  3. Tail 1 Piyali
  4. Bareek Kati Hoe Piyaz 2 Adad
  5. Timatar 3 Adad
  6. Haldi 1 Chaye Ka Chamach
  7. Pisa Hua Garam Masala 1 Chaye Ka Chamach
  8. Sufaid Zeera 1 Chaye Ka Chamach (Bhuna Howa + Pisa Hua)
  9. Adrak, Lehsan Ka Past 1 Khanay Ka Chamach
  10. Bareek Kati Hoe Adrak 1 Khanay Ka Chamach
  11. Pisi Hoe Laal Mirch 1 Khanay Ka Chamach
  12. Meetha Soda Adha Chaye Ka Chamach
  13. Masoor Ki Daal 2 Khanay K Chamach
  14. Namak Hasb E Zaiqa
  15. Chicken Cube 1 Adad







  • Aek Degchi Main Aek Piyali Tail Garam Ker K 2 Adad Bareek Kati Hoe Piyaz Ko Golden Brown Kren Aur Chicken Shamil Ker K Pani Khush Ker Len 
  • Ab Osmain Adrak, Lehsan Ka Past, Haldi, Pisi Hoe Laal Mirch, Pisa Hua Garam Masala Aur Hasb E Zaiqa Namak Shamil Ker K Halka Sa Bhoon Len 
  • Phir Aik Piyali Bheegay Howe Chanon Ka Pani Nikal Ker Dobara 3 Se 4 Glass Pani Aur Masoor Ki Daal Dal Ker Halki Aanch Per Pakayen 
  • Jab Osmain Obaal Ajaye Tou Adha Chaye Ka Chamach Meetha Soda Shamil Ker Den 
  • Phir Cholay Galnay Aur Daal K Sath Yakja Hone K Baad Cholha Band Ker Den 
  • Iss K Baad Chicken Main Timatar Kaat Ker Shamil Ker Den Aur Halka Sa Bhoon Ker 2 Piyali Pani Dal Den 
  • Jab Josh Ajaye Tou Osmain Cholay, Bareek Kati Hoe Adrak, Chicken Cubes Aur Sufaid Zeera Dal Ker Halki Aanch Per Dam Per Rakh Den 
  • Jab Tail Oper Ajaye Tou Tayar Murgh Cholay Garam Garam Naan K Sath Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liye nechay link per click kren:

PAPAR KI SABZI BANANE KA TARIQA






  1. Darmiyanay Size K Papar 2 Se 3 Adad
  2. Cookin Oil 1 Khanay Ka Chamach
  3. Zeera 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  4. Rai Dana 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  5. Pisi Hoe Laal Mirch Adha Chaye Ka Chamach
  6. Dahi 1 Khanay Ka Chamach
  7. Haldi 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  8. Pani 1 Cup
  9. Namak 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  10. Kata Hua Hara Dhaniya 1 Chaye Ka Chamach






  • Aik Bartan Main Tail Garam Ker K Zeera Aur Rai Ke Daal Kr Fry Kr Len 
  • Phir Pisi Hoe Laal Mirch, Dahi, Haldi, 1 Cup Pani Aur Namak Daal Ker Pakayen 
  • Jab Obaal Ajaye Tou Papar Aur Hara Dhaniya Daal Ker 3 Se 4 Minutes K Liye Pakayen Aur Chapatti K Sath Paish Kren
Iss recipe ko apne mobile ya laptop main PDF file main save krne k liyeh nechay diyeh gaye link per click kren:








  • Hotdog Bun 04 Adad
  • Pizza Sauce Adha Cup
  • Qeema 01 Cup (Paka Hua)
  • Shimla Mirch 01 Adad (Cubes)
  • Piyaz 01 Adad (Cubes)
  • Timatar 01 Adad (Beej Nikal K Cubes Bna Len)
  • Oregano 01 Khanay Ka Chamach
  • Zaitoon 02 Se 03 Khanay K Chamach (Slice Kiyeh Howe)
  • Mushroom 06 Adad (Slice Kiye Howe)
  • Mozilla Cheese Adha Cup
  • Chattered Cheese 01 Cup
  • Hotdog Bun Ko Lambai Ky Rukh Main Kaat Kr 08 Bun Bana Len 
  • Phir Onn Per Pizza Sauce Chirak Den 
  • Ab Oper Qeema, Shimla Mirch, Piyaz Aur Timatar Rakh Den 
  • Phir Oregano, Chattered Cheese Aur Mozilla Cheese Daal Den 
  • Ab Inn Bun Ko Oven Tray Per Rakhen 
  • Phir Garam Oven Main 18 Se 20 Minute K Liye Grill Kr Len Yahan Tak K Cheese Pighal Jaye 
Pizza Sandwich Tayar Hay






  • Cream Cheese 04 Khanay K Chamach
  • Gajar 01 Adad Kaddukash Ki Hoe
  • Dry Fruits Adha Cup (Katay Howe)
  • Sandwich Bread 08 Slices





  • Aik Piyalay Main Cream Cheese, Gajar Aur Dry Fruits Ko Mix Kr Len 
  • Ab Onhen 04 Bread Slices Per Phaila Den Aur Baqi Char Slices Se Dhaamp Den 

Sandwich Tayar Hain
  • Double Roti 01 Adad
  • Mayonnaise 03 Khanay K Chamach
  • Kali Mirch Adha Chaye Ka Chamach
  • Shimla Mirch Bareek Kati Hoe 03 Khanay K Chamach
  • Namak Hasb-E-Zaiqa
  • Murghi Ko Obbal Kr Raishay Kr Len 01 Cup
  • Anday 02 Adad (Phintay Howe)
  • Double Roti Ka Choora Hasb-E-Zarorat
  • Tail Fry Krne K Liyeh
  • Double Roti K Slices Ko Gol Cutter Ki Madad Se Gol Kaat Len 
  • Aik Bartan Main Mayonnaise, Kali Mirch, Shimla Mirch, Namak Aur Murghi Ko Mix Kr Len 
  • Ab Gol Kati Hoe Double Roti K Slice Per Filling Rakh Ky Dosre Gol Slice Se Cover Kr K Halka Sa Dabayen Ta K Wo Apas Main Jur Jayen 
  • Phir Sandwitch Ko Anday Main Dibo Kr Double Roti Ka Choora Lagayen Aur Garam Tail Main Shallow Fry Kr Len K Wo Khasta Golden Ho Jayen 
  • Ketchup K Sath Paish Kren





  • Double Roti K Slice 08 Adad
  • Makhan Adha Cup
  • Pineapple Jam Adha Cup
  • Kelay (Banana) 02 Adad (Katay Howe)
  • Anar Dana 04 Kahne K Chamach
  • Saib 01 Adad (Kaddukash Kiya Hua)
  • Strawberry 05 Adad (Slice Ki Hoe)
  • Kala Namak Hasb-E-Zaiqa
  • Chaat Masalah 01 Chaye Ka Chamach
  • Kali Mirch Powder 01 Chaye Ka Chamach






  • Double Roti K Kinaron Ko Kaat Kr Alag Kr Den
  • Ab Makahn Ko Double Roti K 04 Slices Pe Lagayen Aur Baqi 04 Slices Per Pineapple Jam Laga Den
  • Ab Kelay K Slice, Anar Dana, Saib Aur Strawberry Slices Kw Makhan Lagay Double Roti K Slices Per Rakh Den
  • PhIr Oper Kala Namak, Chaat Masala Aur Kali Mirch Chirak Den
  • Ab Oper Jam Lagay Double Roti K Slices Rakh De Aur Paish Kren