- Gajar 01 Adad
 - Piyaz 01 Adad
 - Shimla Mirch 01 Adad
 
Murghi Ki Yakhni 04 Cup Murghi Ki Yakhni Banane Ka Tariqa Dekhne K Liyeh Yahan Click 
Kren > Murghi Ki Yakhni
- Masoor Ki Daal 01 Chothai Cup
 - Coconut Milk Adha Cup
 - Chawal Adha Cup (Obaal Len)
 - Murghi Dairh Cup (Obaal Len)
 - Kacha Saib Adha Cup (Kata Hua)
 - Kari Poweder 01 Khanay Ka Chamach
 - Makhan 02 Khanay K Chamach
 - Namak Aur Kali Mirch Hasb-E-Zaiqa
 
Sajawat K Liyeh
- Parsley 01 Khanay Ka Chamach
 - Coconut Milk 01 Khanay Ka Chamach
 

- Aik Bartan Main Makhan Garam Kr K Piyaz, Gajar, Sabit Shmila Mirch Ko Naram Kr Len
 
- Kari Powder Daal Kr 01 Minute Tak Pakayen
 
- Ab Ismain Murghi Ki Yakhni Aur Masoor Ki Daal Daal Kr Halki Aanch Per 30 Minute Tk Pakayen
 
- Jab Soup Ban Jaye Tou Hasb-E-Zaiqa Namak Aur Kali Mirch Shamil Kr Ky Otaar Len
 
- Phir Osay Blender Main Achi Tarha Blend Kr K Dobara Bartan Main Daal Kr Dobara Cholhay Per Charha Den Agr Blender Na Ho Tou Haleem Ki Tarha Hath Walay Blender (Ghotne) Se Achi Tarha Ghot Len
 
- Jab Obal Jaye Tou Adhi Miqdar Coconut Milk Shamil Kr Len
 
- Oblay Howe Chawal, Murghi, Saib Aur Baqaya Coconut Milk Alag Alag Piyalon Main Daal Den
 
- Aik Aur Piyalay Main Chawal Daal K Roper Murghi Aur Phir Saib Ki The (Layer) Lagayen
 
- Ab Oper Se Kari Daal Den Phir Piyaly K Darmiyan Main Sajawat K Liye Thora Sa Coconut Milk Dalen Aura Chi Tarha Chamach Chala K Mix Kr Len
 
Behtreen Indian Kari Soup Tayar Hay Oper Se Parsley Daal Kr Garma Garam Paish Kren



Post A Comment:
0 comments so far,add yours