LAHORI MURGH CHOLAY Lahore k mashoor murgh cholay banane ka tariqa
- Murghi Dairh Kilo
- Cholay 1 Piyali
- Tail 1 Piyali
- Bareek Kati Hoe Piyaz 2 Adad
- Timatar 3 Adad
- Haldi 1 Chaye Ka Chamach
- Pisa Hua Garam Masala 1 Chaye Ka Chamach
- Sufaid Zeera 1 Chaye Ka Chamach (Bhuna Howa + Pisa Hua)
- Adrak, Lehsan Ka Past 1 Khanay Ka Chamach
- Bareek Kati Hoe Adrak 1 Khanay Ka Chamach
- Pisi Hoe Laal Mirch 1 Khanay Ka Chamach
- Meetha Soda Adha Chaye Ka Chamach
- Masoor Ki Daal 2 Khanay K Chamach
- Namak Hasb E Zaiqa
- Chicken Cube 1 Adad
- Aek Degchi Main Aek Piyali Tail Garam Ker K 2 Adad Bareek Kati Hoe Piyaz Ko Golden Brown Kren Aur Chicken Shamil Ker K Pani Khush Ker Len
- Ab Osmain Adrak, Lehsan Ka Past, Haldi, Pisi Hoe Laal Mirch, Pisa Hua Garam Masala Aur Hasb E Zaiqa Namak Shamil Ker K Halka Sa Bhoon Len
- Phir Aik Piyali Bheegay Howe Chanon Ka Pani Nikal Ker Dobara 3 Se 4 Glass Pani Aur Masoor Ki Daal Dal Ker Halki Aanch Per Pakayen
- Jab Osmain Obaal Ajaye Tou Adha Chaye Ka Chamach Meetha Soda Shamil Ker Den
- Phir Cholay Galnay Aur Daal K Sath Yakja Hone K Baad Cholha Band Ker Den
- Iss K Baad Chicken Main Timatar Kaat Ker Shamil Ker Den Aur Halka Sa Bhoon Ker 2 Piyali Pani Dal Den
- Jab Josh Ajaye Tou Osmain Cholay, Bareek Kati Hoe Adrak, Chicken Cubes Aur Sufaid Zeera Dal Ker Halki Aanch Per Dam Per Rakh Den
- Jab Tail Oper Ajaye Tou Tayar Murgh Cholay Garam Garam Naan K Sath Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liye nechay link per click kren:
Post A Comment:
0 comments so far,add yours