- Murghi Ka Qeema Adha Cup
- Tail (Oil) 03 Khanay K Chamach
- Lehsan 01 Chaye Ka Chamach
- Namak 01 Chaye Ka Chamach
- Piyaz 01 Adad
- Soya Sauce 01 Khanay Ka Chamach
- Maandah Patiyan 06 Adad
(Patian Banana Ka Tariqa Wonton Soup 02 Main Bataya Gaya Hai Tareeka Dekhne K Liyeh Link Per Click Kren)
Yahan Click Kren : Wonton Patiyan Banane Ka Tareeka
- Medah 01 Khanay Ka Chamach
- Andah 01 Adad
- Pani Hasb-E-Zarorat
- Tail (Oil) 05 Se 06 Khanay K Chamach
Soup K Liyeh
- Murghi Ki Yakhni 01 Liter
- Kali Mirch Hasb-E-Zaroorat
- Chilly Sauce 03 Khanay K Chamach
- Lemon Ka Ras 06 Khanay K Chamach
- Gajar 02 Adad
- Hari Mirch 06 Adad
- Namak Hasb-E-Zaiqa
Wonton K Liyeh
- Frying Pan Main Tail Garam Kr K Osmain Murghi Ka Qeema, Lehsan Ky Joway Aur Namak Dal Kr Fry Kr Len.
- Iss K Baad Ismain Piyaz Dal Kr 02 Se 03 Minute Tk Fry Kren
- Phr Osmain Soya Sauce Shamil Kr K Paka Len
- Phr Qeemay Ko Nikal Kr Thanda Kr Len
- Iss K Baad Patiyon Ko Band Krne K Liyeh Medah, Andah Aur Pani Ko Dal Kr Phaint Len
- Phr Patiyon Main Qeema Daal Kr Band Kr Len
- Phr In Patiyon Ko 05 Se 06 Khanay K Chamach Tail Main Fry Kr Len
Wonton Soup K Liyeh
- Murghi Ki Yakhni Main Kali Mirch, Chilly Sauce Aur Lemon Ka Ras Shamil Kr K 10 Minute Tak Pakayen
- Akhir Main Gajar, Hari Mirch Aur Namak Shamil Kr K Thora Aur Paka Len
- Phir Akhir Main Wonton Soup Main Wonton Patiyan Shamil Kr K Paish Kren
Post A Comment:
0 comments so far,add yours