• Murghi 01 Kilo
  • Sirka 04 Khane K Chamacyh
  • Pisi Hoe Laal Mirch 01 Khanay Ka Chamach
  • Pisa Hua Garam Masala 01 Chaye Ka Chamach
  • Adrak, Lehsan Ka Past 01 Khanay Ka Chamach
  • Kali Mirch 01 Kahnay Ka Chamach
  • Zarday Ka Rang Aek Chothai Chay Ka Chamach
  • Namak Dairh Chay Ka Chamach
  • Tail Chothai Cup

Masala Banane K Liyeh

  • Dahi 01 Cup
  • Pisi Hoe Laal Mirch 01 Chaye Ka Chamach
  • Haldi Adha Chaye Ka Chamach
  • Pisa Hua Dhaniya Dairh Chaye Ka Chamach
  • Kati Hoe Piyaz 02 Adad
  • Bareek Katay Howe Timatar 04 Adad
  • Bareek Kata Hua Hara Dhaniya 02 Khanay Ka Chamach
  • Podinay K Patay 15 Adad
  • Bareek Kati Hoe Hari Mirch 04 Adad
  • Tail 01 Cup
  • Oblay Howe Chawal Adha Cup
  • Sabit Garam Masala 01 Khanay Ka Chamach
  • Namak 02 Chaye K Chamach
  • Murghi Ko Sirka, Pisi Hoe Laal Mirch, Pisa Hua Garam Masala, Adrak Lehsan Ka Past, Kali Mirch Zarday Ka Rang (Orange) Aur Dairh Chaye Ka Chamach Namak Laga Kr 30 Minute K Liyeh Rakh Den 
  • Phir Frying Pan Main Tail Daal Kr Murghi Ko 20 Minute Ky Liyeh Pakayen Yahan Tak K Murghi Achi Tarha Gal Jaye 
  • Akhir Main Koiylay (Coal) Se Dam Den 

Masala Banana K Liyeh

  • Tail Garam Kr K Osmai Piyaz 15 Minute Fry Kr Len Yahan Tk K Wo Golden Brown Ho Jayen 
  • Ab Onmain Bareek Katay Howe Timatar Shamil Kr Den Sath He Pisi Hoe Laal Mirch, Haldi, Pisa Hua Dhaniya Bhi Daal Kr Achi Tarha Bhoon Len 
  • Ab Osmain 01 Cup Dahi Daal Kr Bhonain Aur Murghi K Sath Hara Masala Shamil Kr K Achi Tarha Mix Kren 
  • Phir Alag Se Chawlon Ko 02 Chaye K Chamach Namak Aur Sabit Garam Masalay K Sath 03 Chothai Obaal Len 
  • Akhir Main Masalay Per Chawlon Ki Taih (Layer) Banayen Aur Dam Per Rakh Den
Share To:

Post A Comment:

0 comments so far,add yours