• Boil Kiyeh Howe Egg Noodles 01 Packet
  • Murghi K Gosht K Cubes (Baghair Haddi) 01 Paao
  • Jheengay 01 Paao
  • Kati Hoe Piyaz 01 Adad
  • Shimla Mirch 01 Adad
  • Murghi Ki Yakhni 02 Cup 
  • Murghi Ki Yakhni Banana Ka Asand Tariqa Dekhne K Liyeh 
Yahan Click Kren > Murghi Ki Yakhni
  • Band Gobhi Slice Ki Hoe Adha Cup
  • Kati Hoe Adrak Taqreeban 01 Inch Ka Tukra
  • Kutta Howa Lehsan 03 Jowe
  • Hari Piyaz 01 Se 03 Dandiyan
  • Kuti Hoe Kali Mirch 01 Chaye Ka Chamach
  • Chinese Namak 01 Tahai Chaye Ka Chamach
  • Corn Flour 02 Khanay K Chamach
  • Soya Sauce 03 Khanay K Chamach
  • Oil 04 Khanay Ka Chamach
  • Namak Hasb-E-Zaiqa
  • Aik Bartan Main Pani Garam Kr Ky Osmain Egg Noodles Aur 02 Khanay K Chamach Oil Shamil Kr K 5 Minute Tak Boil Kren 
  • Ab Osay Thanday Pani Main Dalen Aur Phir Nikal Kr Kisi Bartan Main Rakh Len 
  • Phir Aik Bartan Main Tail Garam Kr K Osmain Noodles Ko Fry Kr Len 
  • Iss K Baad Pehle Aik Dish Main Oblay Howe Noodles Dalen Phr Fry Kiyeh Howe Noodles Dalen 
  • Ab Aik Bartan Main Tail Garam Kr K Osmain Lehsan, Adrak Aur Piyaz Daal Kr 02 Se 03 Minute Tk Fry Kren 
  • Phir Murghi Daal Kr 02 Se 03 Minute Fry Kren Aur Jheengay Shamil Kr K Mazeed 02 Se 03 Minute Tk Fry Kren 
  • Iss K Baad Soya Sauce, Kali Mirch, Chinese Namak Aur Hasb-E-Zaiqa Sada Namak Daal Kr 02 Cup Murghi Ki Yakhni Shamil Kr Den 
  • Obaal Anay Per Shmila Mirch. Band Gobhi Aur Hari Piyaz Shamil Kr K 03 Se 05 Minute Tak Pakayen 
  • Ab Pani Main Corn Flour Achi Tarha Ghol Kr Thora Thora Kr K Shamil Krte Jayen 
  • Jab Ameezah Garha Ho Jaye Tou Otar Kr Noodles Per Daal Den 
  • Akhir Main Hari Piyaz Se Sajawat Kr Len
Share To:

Post A Comment:

0 comments so far,add yours