• Saila Chawal Adha Kilo (Oblay Howe)
  • Gosht Ya Murghi Adha Kilo
  • Dahi 01 Pao
  • Laal Mirch 02 Chaye K Chamach (Kuti Hoe)
  • Haldi Adha Chaye Ka Chamach
  • Laal Mirch 01 Chaye Ka Chamach (Pisi Hoe)
  • Namak 02 Chaye K Chamach
  • Tail 01 Cup
  • Mix Garam Masala 01 Khanay Ka Chamach
  • Adrak, Lehsan Ka Past 01 Khanay Ka Chamach
  • Chinese Salt Adha Chaye Ka Chamach
  • Jayfal Adha Chaye Ka Chamach (Pisi Hoe)
  • Javetri Adha Chaye Ka Chamach (Pisi Hoe)
  • Badiyan K Phool 04 Adad
  • Aalu 03 Adad (Medium Size K)
  • Zarday Ka Rang Adha Chaye Ka Chamach
  • Piyaz 01 Chaye Ka Chamach (Fry Kiyeh Howe)
  • Timatar 01 Pao
  • Aalu Bukharay 50 Garam
  • Hara Dhaniya Adhi Gathi
  • Podeena Adhi Gathi
  • Chaat Masala 02 Chaye K Chamach
  • Curry Patay 06 Adad
  • Adrak 01 Khanay Ka Chamach (Bareek Kuti Howa)
  • Tail Adha Cup

  • Thoray Se Dahi Main Zarday Ka Rang Mila Kr Alag Rakh Den 
  • Aik Bartan Main 01 Cup Pani, Baqi Ka Dahi, Kuti Laal Mirch, Haldi, Pisi Hoe Laal Mirch, Namak, 01 Cup Tail, Mix Garam Masala, Adrak Lehsan Ka Past, Chinese Namak, Pisi Hoe Jayfal, Javetri Aur Badiyan K Phool Daal Kr Mix Kren 
  • Phir Osmain Gosht Ya Murghi Shamil Kr K 08 Se 10 Minute Tak Pakayen 
  • Phir Osmain Aalu Daal Kr Bhoonain Jab Aalu Adhay Gal Jayen Tou Oper Sy Zarday K Rang Wala Dahi Phaila Den 
  • Phir Fry Piyaz, Timatar, Aalu Bukharay, Hara Dhaniya, Podeena, Chaat Masala, Curry Patay Aur Adrak Daal Kr Akhir Main Oblay Howe Chawal Shamil Kr Den 
  • Ab Chawlon Per Adha Cup Tail Daal Kr Adhay Ghantay K Liyeh Dam Per Rakh Den Aur Os K Baad Choolha Band Kr Den 
Mazedar Degi Biryani Tayar Hai 

Zaroori Maloomat

Yeh miqdar 4 afrad k khanay k liyeh hai
Share To:

Post A Comment:

0 comments so far,add yours