HAREESA BANANA KA TARIQA With PDF File

HAREESA BANANA KA TARIQA






  • Gosht 01 Killo (Baghair Haddi)
  • Sabit Moong Ki Daal Adhi Chatank 
  • Chawal Adha Chatank
  • Gandum 01 Paao
  • Pisi Hoe Kaali Mirch 04 Chaye K Chamach
  • Adrak Hasb-E-Zaroorat
  • Lehsan Hasb-E-Zaroorat
  • Piyaz Hasb-E-Zaroorat
  • Ghee Hasb-E-Zaroorat
  • Namak Hasb-E-Zaiqa






  • Chawal Aur Daal Ko Aik Sath Obaal Len Aur Gandum Ko Bhigo Ker Rakh Den 

  • Ghee Main 2 Darmiyanay Size K Piyaz Kaat Len 

  • Jab Piyaz Laal Ho Jayen Tou Osmain Gosht Bhi Shamil Kr Len 

  • Iss K Sath He Adrak Aur Lehsan Ko Koot Kr Shamil Kr Den 

  • Jab Gosht Ka Pani Khushk Ho Jaye Tou Osmain Gosht Galane Jitna Paani Daal Den 
  • Jab Gosht Achi Tarha Gal Jaye Tou Osay Pani Se Nikal Kr Mota Mota Koot Len 
  • Iss Kotay Howe Gosht Ko Dobara Dosre Saaf Pani Main Daal Den Aur Os K Sath Gandum Aur Obli Hoe Daal Aur Chawal Bhi Shamil Kr Den Aur Osay Pakne Den 
  • Agar Zarorat Paray Tou Mazeed Pani Bhi Daal Den 
  • Thori Dair Baad Gandum Ka Dana Nikal Ker Check Kren Agar Achi Tarha Gal Gaya Ho Tou Osmain Ghotna Chalayen Aur Pakatay Rahen Ta K Sab Cheezain Achi Tarha Yakja Ho Jayen Aur Onki Lae Si Ban Jaye 
  • Iss K Baad Osmain Kaali Mirch Aur Namak Daal Den 
  • Ab Kisi Alag Bartan Main Ghee Daal Kr Osmain Piyaz Kaat Kr Dalen Aur Jab Khasta Ho Jayen Tou Nikal Len 
  • Yeh Piyaz Nikala Hua Garam Garam Ghee Hareesa Per Daal Den Aur Sath Chamach Bhi Chalayen 

Mazedar Harisa Tayar Hai۔


Iss recipe ko apne mobile main PDF file main save krne k liyeh nechay button per click kren

Share To:

Post A Comment:

0 comments so far,add yours