Articles by "Chicken"
Showing posts with label Chicken. Show all posts
OVEN CHICKEN WITH VEGETABLE BANANE KA TARIQA






  1. Boneless Chicken Adha Kilo
  2. Piyaz 2 Adad
  3. Phaliyan 1 Paao
  4. Baingan 1 Adad
  5. Tamatar 2 Adad
  6. Gajar 1 Adad
  7. Aalu 1 Adad
  8. Shimla Mirch 1 Adad
  9. Lehsan K Joway 3 Adad
  10. Bhindi 1 Paao
  11. Tamatar Ka Past 2 Khanay K Chamach
  12. Namak Hasb E Zaiqa
  13. Kuti Hoe Kaali Mirch 1 Chaye Ka Chamach
  14. Makhan 4 Khanay K Chamach
  15. Paani 1 Chothai Cup
  16. Cheddar Cheese Adha Packet







  • Pehle Chicken Ko Slice Kr Len
  • Phir Piyaz, Phaliyan, Baingan, Timatar, Gajar, Aalu Aur Shimla Mirch Ko Chotay Tukron Main Kaat Len 

  • Ab Aik Bartan Main Tamam Sabziyan, Bhindi, Lehsan K Joway, Slice Ki Hoe Chicken, Timatar Ka Past, Namak, Kaali Mirch Aur Makhan Shamil Ker K Mix Ker Len. 
  • Ab Oven Proof Dish K Darmiyan Main Iss Mixture Ko Daalen 
  • Kinaron Main Thora Sa Pani Daal Ker Oven Main 180 Degree Centigrade Per 15 Se 20 Minute K Liye Bake Ker Len 
  • Jab Chicken Aur Sabziyan Achi Tarha Se Pak Jayen Tou Onhen Oven Se Nikal Len 
  • Phir Foran Kadukash Kya Hua Cheddar Cheese Chirak Ker Dobara Oven Main Rakh Ker 5 Minute Tak Bake Kren 
  • Tayar Honay Per Garam Garam Serve Kren

Iss recipe ko apne mobile ya laptop main PDF file main save krne k liyeh nechay link per click kren:

FRYING PAN PIZZA







CHICKEN TIKKA K LIYE


  1. Chicken Breast 2 Adad 
  2. Adrak, Lehsan Past Adha Chaye Ka Chamach 
  3. Namak Adha Chaye Ka Chamach 
  4. Mirch Powder Adha Chaye Ka Chamach 
  5. Bhuna Howa Zeera Powder Adha Chaye Ka Chamach 
  6. Lemon Ka Rus 2 Khanay K Chamach 
  7. Dahi 1 Khanay Ka Chamach 

DOE K LIYE


  1. Medah (Flour) Dairh Cup 
  2. Namak Adha Chaye Ka Chamach 
  3. Khameer 1 Chaye Ka Chamach 
  4. Coaster Suger 1 Chaye Ka Chamach 
  5. Oil 3 Se 4 Khanay Ka Chamach 
  6. Pani Hasb E Zaroorat 

TOPING K LIYEH


  1. Pizza Sauce 4 Khanay K Chamach 
  2. Piyaz 2 Adad Slice Ki Hoe 
  3. Raishay Dar Chicken Tikka Adha Cup 
  4. Timatar 1 Adad Kata Howa 
  5. Shimla Mirch 1 Adad Kati Hoe 
  6. Mushroom 3 Adad Slice Kiye Howe 
  7. Oregano Patay 1 Chaye Ka Chamach 
  8. Cheddar Cheese Adha Cup Kadukash Ki Hoe 
  9. Oil 4 Khanay K Chamach











CHICKEN TIKKA K LIYEH 


  • Aik bartan main 2 adad chicken breast k tukray shamil kren aur adrak, lehsan ka past, namak, mirch poweder, bhuna howa zeera, lemon ka rus aur dahi k sath marinate kren 

  • 15 minute k liyeh chicken ko alag rakh den ta k achi tarha marinate ho jaye 

  • Phir osay chicken gal janay tak grill kren 

  • Akhir main garam koiylay (coal) chicken per phila den aur thora sa oil chirak den aur dhamp kr 10 minutes k liye chor den 

PIZZA K LIYEH


  • Aik piyalay main meda, namak, khameera, oil aur coaster sugar mix kr len 

  • Phir neem garam pani k sath amaizah achi tarha goondh len 

  • Ab iss doe ko 30 minutes k liye dhamp kr aik side per rakh den 

  • Phir doe ko 9 inch ky pizza ki shakal main roll kren 

  • Frying pan main 2 khanay k chamach cooking oil daal kr halki aanch per garam kren 

  • Doe ko 3 minutes k liyeh aek side se garam kr len phir osay palat ker dosri side bhi 2 khanay k chamach oil k sath halka sunhera kr len 
  • Phir os k oper pizza sauce phaila den
  • Sauce k sath piyaz, chicken tikka, shimla mirch aur mushroom k sath toping kren
  • Oregano patay aur kadukash ki hoe cheddar cheese pizza per chirak den 
  • 5 minute k liye grill kr len yahan tak k cheez pighal jaye 
Frying pan pizza tayar hai tukron main kaat kr garam garam serve kren


Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh nechay button per click kren:

CRISPY BROAST CHICKEN





MARINATION K LIYE AJZAH

  • · Pani 01 Bowl
  • · Laal Mirch Powder 02 Khanay K Chamach
  • · Hari Mirch Ka Past 02 Khanay K Chamach
  • · Namak 02 Khanay K Chamach Ya Hasb-E-Zaiqa
  • · Gosht Galanay Wala Powder 01 Khanay Ka Chamach
  • · Sirka 03 Khanay Ka Chamach

COATING K LIYEH AJZAH

  • · Medah 02 Cup
  • · Corn Flour Adha Cup
  • · Chawal Ka Aata Adha Cup
  • · Chakki Ka Laal Aata Adha Cup
  • · Baking Powder 01 Chaye Ka Chamach
  • · Chicken Powder 01 Chaye Ka Chamach
  • · Namak 01 Chaye Ka Chamach
  • · Sufaid Mirch 01 Khanay Ka Chamach
  • · Mustard Powder 01 Chaye Ka Chamach
  • · Srukh Mirch Powder 01 Chaye Ka Chamach
  • · Daarcheeni Powder 01 Chaye Ka Chamach
  • · Lehsan Powder 01 Chaye Ka Chamach
  • · Oil Fry Krne K Liyeh





Marination Ka Tariqa

1. Aik Bowl Main Chicken Dalen Aur Osmain Itna Pani Dalen K Chicken Doob Jaye

2. Ab Osmain Surkh Mirch Powder, Hari Mirch Ka Past, Adrak/Lehsan Ka Past, Namak, Gosht Galane Wala Powder Aur Sirka Shamil Kr Den Aur Osay 04 Se 05 Ghantay K Liyeh Chor Den

3. Phir Chicken Ko Pani Se Nikal Len Awr Pani Ko Aik Taraf Rakh Den

4. Ab Aik Aur Bowl Main Coating K Ajza Mix Kren

5. Chicken K Tukron Ko Coating Walay Ajza Main Coat Kren Phir Chicken K Tukray Marinate Walay Pani Main Dip Kren Jis Main Aap Ne Chicken Ko Marinate Kya Tha

6. Chicken K Tukray Ko Dobara Coating Main Coat Kren Aur Agr Aap Moti Coating Krna Chahtay Hain Tou Yeh Amal 02 Se 03 Bar Repeat Kren Phir Osay 01 Ghantay K Liyeh Rakh Den

7. Ab Tail Garam Kr K Chicken Ko Deep Fry Kren Aur Dhaamp Den Phir 10 Minute Baad Oski Side Change Kr Den

8. Jab Chicken Golden Brown Ho Jaye Tou Nikal Len Aur Osay Broast Deep Dinner Roll, French Fries Aur Ketchup K Sath Paish Kren

Note: Gosht Galanay K Liyeh Sirf Gosht Galanay Wala Powder He Use Kren Oski Jaga Papeeta Ya Kachri Powder Use Na Kren Agr Gosht Galanay Wala Powder Na Ho Tou Phir Kuch Bhi Use Na Kren Aur Isi Tarha Chicken Ko Achi Tarha Galne Den.


Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh nechay diyeh gaye "Download" link per click kren











  • Murghi 01 Killo (08 Pieces)
  • Zeera 01 Chaye Ka Chamach
  • Kali Mirch 06 Adad
  • Kata Hua Piyaz 01 Adad 
  • Lehsan Past 01 Chaye Ka Chamach
  • Ghee 01 Khanay Ka Chamach
  • Adrak Past 01 Chaye Ka Chamach
  • Kata Hua Khushk Dhaniya 01 Khanay Ka Chamach
  • Tamatar Piyori 02 Khanay K Chamach
  • Namak Dairh Chaye Ka Chamach
  • Bareek Kati Hoe Hari Mirch 02 Adad
  • Tamatar 02 Adad Katay Howe
  • Sirka 01 Chaye Ka Chamach
  • Doodh Adha Cup
  • Cheeni 01 Chaye Ka Chamach
  • Corn Flour 01 Khanay Ka Chamach (Pani Main Ghula Howa)
  • Kata Hua Hara Dhaniya 03 Se 04 Khanay Ka Chamach










  • Murghi Ko 02 Cup Pani Main Obaal Ker Oski Banne Wali Yakhni Se Bahar Nikal Len 
  • Phir Yakhni Main Adha Cup Doodh Shamil Kr K Mix Kren Aur Aik Taraf Rakh Den 
  • Phir Aik Pateeli Main Ghee Garam Kr K Piyaz Ko Golden Fry Kr Len 
  • Phir Zeera, Adrak Aur Lehsan Ka Past Daal Kr Fry Kr K Mirch Aur Khushk Dhaniya Shamil Kren 
  • Phir Kata Hua Tamatar Piyori Shamil Kr K Kuch Dair K Liyeh Fry Kren 
  • Ab Boil Kiya Howa Chicken Shamil Kr K Achi Tarha Se Fry Kren 
  • Phir Hari Mirch, Namak, Cheeni Aur Sirka Shamil Kr Den 
  • Phir Yakhni Daal Kr Aik Obaal Aanay Tak Pakayen Aur Pani Main Ghula Hua Corn Flour Daal Den 
  • Adha Hara Dhaniya Daal Kr Achi Tarha Mix Kren 
  • Dish Main Nikal Kr Baqi Ka Hara Dhaniya Garnish Krne K Liyeh Istimal Kre
Yeh tarkeeb (recipe) PDF file main save krne k liyeh download link per click kren