Articles by "Biryani"
Showing posts with label Biryani. Show all posts
HYDERABADI CHICKEN BIRYANI






  • Chawal Adha Kilo
  • Murghi 3 Paao
  • Laal Mirch Powder 1 Khanay Ka Chamach
  • Namak Hasb E Zaiqa
  • Adrak, Lehsan Pa Past 2 Khanay K Chamach
  • Piyaz Hasb E Zaroorat (Tarkay K Liye)
  • Lemon 4 Adad
  • Podeena 1 Chothai Gathi
  • Hara Dhaniya 1 Chothai Gathi
  • Hari Mirch 4 Se 6 Adad
  • Kali Mirch 1 Chaye Ka Chamach
  • Sabit Elaichi 3 Se 4 Adad
  • Sabit Zeera 1 Chaye Ka Chamach
  • Zarday Ka Rang 2 Chaye Ka Chamach
  • Dahi 1 Cup
  • Doodh 2 Khanay K Chamach
  • Oil/Ghee Adha Cup












  • Chicken Main Namak, Laal Mirch, Kaali Mirch, Lehsan Aur Adrak Ka Past, Dahi Aur Zeera Shamil Kr K Aek Ghantay K Liye Rakh Den 
  • Chawal Obaal Len Aur Osmain Podeena, Hari Mirchen, Sabit Elaichi, Namak Aur Sirka Daal Den 
  • Aek Kani Chawal Paka Kr Nikal Len 
  • Ab Aik Bartan Main Thora Sa Oil Garam Kren Aur Baghair Paani Dalay Halki Aanch Per Murghi Daal Kr Dhak Ker Pakayen 
  • Jab Murghi Ka Pani Khushk Ho Jaye Tou Dhaniya, Podeena Aur Lemon Ka Rass Daal Ker Otaar Len 
  • Ab Aik Bartan Main Thora Oil Dalen Phir Chawal Ki Taih (Layer) Phir Murghi, Past, Dhaniya, Podeena Aur Phir Baqi K Chawal Daal Den 
  • Ab Aik Darmiyanay Size K Piyaz Ko Tail Main Fry Kr K Bhagar Ker Len Aur Chawlon Per Daal Den 
  • Akhir Main Zarday Ka Rang Doodh Main Ghol Kr Aur Lemon Ka Rass Daal Kr Kuch Minutes K Liye Dam Per Rakh Den 
Garma Garam Hyderabadi Chicken Biryani Tayar Hai


Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh neechay download button per click kren 







  • Saila Chawal Adha Kilo (Oblay Howe)
  • Gosht Ya Murghi Adha Kilo
  • Dahi 01 Pao
  • Laal Mirch 02 Chaye K Chamach (Kuti Hoe)
  • Haldi Adha Chaye Ka Chamach
  • Laal Mirch 01 Chaye Ka Chamach (Pisi Hoe)
  • Namak 02 Chaye K Chamach
  • Tail 01 Cup
  • Mix Garam Masala 01 Khanay Ka Chamach
  • Adrak, Lehsan Ka Past 01 Khanay Ka Chamach
  • Chinese Salt Adha Chaye Ka Chamach
  • Jayfal Adha Chaye Ka Chamach (Pisi Hoe)
  • Javetri Adha Chaye Ka Chamach (Pisi Hoe)
  • Badiyan K Phool 04 Adad
  • Aalu 03 Adad (Medium Size K)
  • Zarday Ka Rang Adha Chaye Ka Chamach
  • Piyaz 01 Chaye Ka Chamach (Fry Kiyeh Howe)
  • Timatar 01 Pao
  • Aalu Bukharay 50 Garam
  • Hara Dhaniya Adhi Gathi
  • Podeena Adhi Gathi
  • Chaat Masala 02 Chaye K Chamach
  • Curry Patay 06 Adad
  • Adrak 01 Khanay Ka Chamach (Bareek Kuti Howa)
  • Tail Adha Cup

  • Thoray Se Dahi Main Zarday Ka Rang Mila Kr Alag Rakh Den 
  • Aik Bartan Main 01 Cup Pani, Baqi Ka Dahi, Kuti Laal Mirch, Haldi, Pisi Hoe Laal Mirch, Namak, 01 Cup Tail, Mix Garam Masala, Adrak Lehsan Ka Past, Chinese Namak, Pisi Hoe Jayfal, Javetri Aur Badiyan K Phool Daal Kr Mix Kren 
  • Phir Osmain Gosht Ya Murghi Shamil Kr K 08 Se 10 Minute Tak Pakayen 
  • Phir Osmain Aalu Daal Kr Bhoonain Jab Aalu Adhay Gal Jayen Tou Oper Sy Zarday K Rang Wala Dahi Phaila Den 
  • Phir Fry Piyaz, Timatar, Aalu Bukharay, Hara Dhaniya, Podeena, Chaat Masala, Curry Patay Aur Adrak Daal Kr Akhir Main Oblay Howe Chawal Shamil Kr Den 
  • Ab Chawlon Per Adha Cup Tail Daal Kr Adhay Ghantay K Liyeh Dam Per Rakh Den Aur Os K Baad Choolha Band Kr Den 
Mazedar Degi Biryani Tayar Hai 

Zaroori Maloomat

Yeh miqdar 4 afrad k khanay k liyeh hai






  • Obli hoe Sabit masoor ki daal 01 pao
  • Oblay howe chawal 01 kilo
  • Piyaz 2/1 kilo
  • Podeenay k patay 01 gathi
  • Hara dhaniya 01 gathi
  • Timatar 02 adad
  • Taiz paat 02 adad
  • Lemon 02 adad
  • Choti elaichi 04 adad
  • Badiyan k phool 04 adad
  • Hari mirch 9 se 10 adad
  • Tail 02 cup
  • Aalu bukharay 50 garam
  • Dahi 01 pao
  • Haldi 01 chaye ka chamach
  • Namak 01 chaye ka chamach
  • Kala zeera 01 chaye ka chamach
  • Pisi hoe laal mirch 01 khanay ka chamach
  • Adak lehsan ka past 01 khanay ka chamach
  • Kewra 01 khanay ka chamach
  • Zarday ka rang adha chaye ka chamach
  • Pisa hua dhaniya 02 chaye k chamach
  • Piyaz Main Se Aadhi Piyaz Ko Dahi K Sath Blender Main Pees Len 
  • Ab Tail Garam Kr K Osmain Piyaz Aur Dahi Daal Den 
  • Phir Osmain Adrak Lehsan Ka Past, Pisi Hoe Laal Mirch, Namak, Haldi, Pisa Hua Dhaniya, Kala Zeera, Choti Elaichi, Taiz Paat, Badiyan K Phool Aur Aalu Bhukhary Daal Kr Bhoon Len 
  • Iss K Baad Obli Hoe Sabit Masoor Ki Daal Shamil Kren 
  • Ab Aik Alag Bartan Main Bachi Hoe Piyaz, Slice Main Katay Howe Lemon, Hari Mirch, Podeena, Hara Dhaniya Aur Timatar Daal Den 
  • Phir Onn Pr Oblay Howe Chawal Au Roper Se Zarday Ka Rang Aur Kewra Daal Kr 20 Minute Dam Pr Rakhen 

Daal Ki Chatpati Aur Mazedar Biryani Tayar Hai





  • Chawal Adha Kilo (Bheegay Howe)
  • Gosth Ya Murghi Adha Kilo (Obla Hua)
  • Dahi 250 Garam
  • Hari Mirch Powder 02 Khanay K Chamach
  • Dhaniya Powder 02 Khanay K Chamach
  • Namak 02 Chaye K Chamach
  • Laal Mirch Powder 01 Chaye Ka Chamach
  • Haldi Powder Adha Chaye Ka Chamach
  • Garam Masala Powder 01 Khanay Ka Chamach
  • Badiyan K Phool 04 Adad
  • Jayfal Powder Adha Chay Ka Chamach
  • Javetri Powder Adha Chaye Ka Chamach
  • Adrak Aik Khanay Ka Chamach (Bareek Pisa Hua_
  • Lehsan Adrak Past 01 Khanay Ka Chamach
  • Aalu Bukhara 50 Garam
  • Hara Dhaniya Adhi Gathi
  • Podena Adhi Gthi
  • Zarday Ka Rang Ya Peela Khanay Ka Rang Adha Chaye Ka Chamach
  • Tail 04 Khanay K Chamach
  • Piyaz 01 Chaye Ka Chamach (Fry Kia Hua)
  • Aik Bartan Main Arhai Glass Pani, Dahi, Haldi Powder, Laal Mirch Powder, Namak, Tail Garam Masala Powder, Lehsan Adrak Past, Jayfal, Javetri Powder, Aur Badiyan Ky Phool Daal Kr Achi Tarha Mix Kr Len

  • Phir As Main Ubla Hua Gosht Ya Murghi Shamil Kr Ky 10 Minute Tk Pakayen 
  • Phir Dahi, Khanay Ka Rang Aur Chawal Shamil Kr Ky Do Kani Paka Len 
  • Phir Oper Piyaz, Aalu Bukhara, Hara Dhaniya, Podena, Adrak Aur Tail Shamil Kr Den 
  • Phir 10 Se 12 Minute K Liyeh Dam Per Rakh Den 
Chiniyoti Biriyani Tayar Hay

Zaroori Malomat

Itni miqdar main 6 log aram se kha sakte hain.








  • Murghi 01 Kilo
  • Sirka 04 Khane K Chamacyh
  • Pisi Hoe Laal Mirch 01 Khanay Ka Chamach
  • Pisa Hua Garam Masala 01 Chaye Ka Chamach
  • Adrak, Lehsan Ka Past 01 Khanay Ka Chamach
  • Kali Mirch 01 Kahnay Ka Chamach
  • Zarday Ka Rang Aek Chothai Chay Ka Chamach
  • Namak Dairh Chay Ka Chamach
  • Tail Chothai Cup

Masala Banane K Liyeh

  • Dahi 01 Cup
  • Pisi Hoe Laal Mirch 01 Chaye Ka Chamach
  • Haldi Adha Chaye Ka Chamach
  • Pisa Hua Dhaniya Dairh Chaye Ka Chamach
  • Kati Hoe Piyaz 02 Adad
  • Bareek Katay Howe Timatar 04 Adad
  • Bareek Kata Hua Hara Dhaniya 02 Khanay Ka Chamach
  • Podinay K Patay 15 Adad
  • Bareek Kati Hoe Hari Mirch 04 Adad
  • Tail 01 Cup
  • Oblay Howe Chawal Adha Cup
  • Sabit Garam Masala 01 Khanay Ka Chamach
  • Namak 02 Chaye K Chamach
  • Murghi Ko Sirka, Pisi Hoe Laal Mirch, Pisa Hua Garam Masala, Adrak Lehsan Ka Past, Kali Mirch Zarday Ka Rang (Orange) Aur Dairh Chaye Ka Chamach Namak Laga Kr 30 Minute K Liyeh Rakh Den 
  • Phir Frying Pan Main Tail Daal Kr Murghi Ko 20 Minute Ky Liyeh Pakayen Yahan Tak K Murghi Achi Tarha Gal Jaye 
  • Akhir Main Koiylay (Coal) Se Dam Den 

Masala Banana K Liyeh

  • Tail Garam Kr K Osmai Piyaz 15 Minute Fry Kr Len Yahan Tk K Wo Golden Brown Ho Jayen 
  • Ab Onmain Bareek Katay Howe Timatar Shamil Kr Den Sath He Pisi Hoe Laal Mirch, Haldi, Pisa Hua Dhaniya Bhi Daal Kr Achi Tarha Bhoon Len 
  • Ab Osmain 01 Cup Dahi Daal Kr Bhonain Aur Murghi K Sath Hara Masala Shamil Kr K Achi Tarha Mix Kren 
  • Phir Alag Se Chawlon Ko 02 Chaye K Chamach Namak Aur Sabit Garam Masalay K Sath 03 Chothai Obaal Len 
  • Akhir Main Masalay Per Chawlon Ki Taih (Layer) Banayen Aur Dam Per Rakh Den