NIHARI BANANE KA TARIQA PDF File main save krne k liye link per click kren






  1. Bong Ka Gosht 1 Kilo
  2. Nuly 1 Adad
  3. Namak Hasb E Zaroorat
  4. Pisi Hoe Laal Mirch 2 Chaye K Chamach
  5. Cooking Oil 2 Cup
  6. Adrak Lehsan Ka Past 2 Khanay K Chamach
  7. Aata 1 Cup
  8. Tayar Shuda Nihari Masala 4 Khanay K Chamach
  9. Maida Adha Cup
NIHARI K LIYEH MASALA BANANE K LIYE
  1. Daarcheeni 20 Gram 
  2. Long 40 Gram
  3. Javetri 20 Gram
  4. Sounf 40 Gram
  5. Khashkhaash 40 Gram
  6. Pisi Hoe Surkh Mirch 20 Gram
  7. Elaichi Choti Aur Bari 25 Gram
  8. Jayfal 1 Adad
  9. Kali Mirch 40 Gram
  10. Kachri 10 Gram
  11. Sonth 40 Gram
  12. Pisa Hua Dhaniya 20 Gram

Note: “Masalay K Tamam Ajza Ko Grinder Main Daal Ker Achi Tarha Pees Len Aur Hasb E Zaroorat Iss Recipe Main 4 Khanay K Chamach Dalen Jesa K Oper Bataya Gaya Hay”.


  • Tail Garam Kren Aur Osmain Adrak Aur Lehsan Ka Past Bhoon Len 

  • Phir Gosht K Sath Pisi Hoe Surkh Mirch, Namak Aur Nihari Masala Shamil Ker K Achi Tarha Bhoon Len Zaroorat Paray Tou Pani Ka Halka Sa Cheenta Maar Len. 

  • Ab Osmain Nuli Shamil Ker Kr K 10 Cup Pani Dalen Aur Halki Aanch Per 1 Ghantay Tak Pakne Rakh Den 

  • Ab Aata Aur Maida Pani Main Shamil Ker K Past Bana Ker Gosht Main Shamil Ker Den Aur Chamcha Musalsal Chalatay Rahen 
  • Phir Osay Halki Aanch Per 4 Ghantay K Liye Pakne Rakh Den 
  • Phir Ghee Ya Tail K Sath Piyaz Ka Bhagar Den 
  • Kati Hoe Adrak, Lemon, Hari Mirch Aur Fry Kiye Piaz K Sath Garam Garam Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liye nechay link per click kren:

Share To:
Next
This is the most recent post.
Previous
Older Post

Post A Comment:

0 comments so far,add yours