ACHAARI KARELA BANANE KA TARIQA
- Karelay adha kilo
- Piyaz 1 cup
- Cooking oil adha cup
- Imli 3 se 4 tukray
- Adrak lehsan ka past 1 chaye ka chamach
- Pisi hoe laal mirch 1 chaye ka chamach
- Haldi adha chaye ka chamach
- Namak 1 chaye ka chamach
- Phenti hoe dahi adha cup
- Cheeni 1 chaye ka chamach
ACHARI MASALA K LIYE
- Sufaid zeera 1 chaye ka chamach
- Kalonji 1 chaye ka chamach
- Sokhi hoe maythi adha chaye ka chamach
- Sokha dhaniya 2 chaye k chamach
- Soung 1 chaye ka chamach
- Taway Per Sufaid Zeera, Kalonji, Sokhi Maythi, Sokha Dhaniya Aur Sounf Ko Bhoon Len Aur Bareek Pees Len
- Karelon Ko Cheel Kr Un K Beej Nikal Len
- Ab Un Per Namak Laga Ker 1 Ghantay K Liye Chor Den
- Phir Achi Tarha Dho Len
- Iss K Baad Karelon Ko Pani Main Imli K Sath 5 Minute K Liye Obalen
- Ab Onhen Nichor Ker Tamam Pani Nikalen Aur Oil Main Fry Kr K Nikal Len
- Ab Tail Garam Ker K Osmain Piyaz Ko Light Golden Kren Aur Nikal Len
- Phir Osmain Adrak Lehsan Ka Past, Pisi Hoe Laal Mirch, Haldi, Namak Aur Dahi Shamil Ker K Karelay Fry Ker Len
- Sath Hi Fry Ki Hoe Piyaz, Cheeni Aur Bhoon Ker Peesa Hua Masala Daal Den
- Iss K Baad Dhak Ker Darmiyani Aanch Per Pakayen Yahan Tak K Wo Tayar Ho Jayen
Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh nechay link per click kren:
Post A Comment:
0 comments so far,add yours