MAKHMALI CHICKEN RECIPE Aaj hum apko ko Makhmali Chicken ki bht he asaan aur tasty recipe bataengay. tarkeeb2018.blogspot.com
- Murghi 01 Killo (08 Pieces)
- Zeera 01 Chaye Ka Chamach
- Kali Mirch 06 Adad
- Kata Hua Piyaz 01 Adad
- Lehsan Past 01 Chaye Ka Chamach
- Ghee 01 Khanay Ka Chamach
- Adrak Past 01 Chaye Ka Chamach
- Kata Hua Khushk Dhaniya 01 Khanay Ka Chamach
- Tamatar Piyori 02 Khanay K Chamach
- Namak Dairh Chaye Ka Chamach
- Bareek Kati Hoe Hari Mirch 02 Adad
- Tamatar 02 Adad Katay Howe
- Sirka 01 Chaye Ka Chamach
- Doodh Adha Cup
- Cheeni 01 Chaye Ka Chamach
- Corn Flour 01 Khanay Ka Chamach (Pani Main Ghula Howa)
- Kata Hua Hara Dhaniya 03 Se 04 Khanay Ka Chamach
- Murghi Ko 02 Cup Pani Main Obaal Ker Oski Banne Wali Yakhni Se Bahar Nikal Len
- Phir Yakhni Main Adha Cup Doodh Shamil Kr K Mix Kren Aur Aik Taraf Rakh Den
- Phir Aik Pateeli Main Ghee Garam Kr K Piyaz Ko Golden Fry Kr Len
- Phir Zeera, Adrak Aur Lehsan Ka Past Daal Kr Fry Kr K Mirch Aur Khushk Dhaniya Shamil Kren
- Phir Kata Hua Tamatar Piyori Shamil Kr K Kuch Dair K Liyeh Fry Kren
- Ab Boil Kiya Howa Chicken Shamil Kr K Achi Tarha Se Fry Kren
- Phir Hari Mirch, Namak, Cheeni Aur Sirka Shamil Kr Den
- Phir Yakhni Daal Kr Aik Obaal Aanay Tak Pakayen Aur Pani Main Ghula Hua Corn Flour Daal Den
- Adha Hara Dhaniya Daal Kr Achi Tarha Mix Kren
- Dish Main Nikal Kr Baqi Ka Hara Dhaniya Garnish Krne K Liyeh Istimal Kre
Post A Comment:
0 comments so far,add yours