DAHI BHALLAY BANANE KA TARIQA Aese dahi bhalay aap ne kabhi nhe khaye hongay
DAHI BHALLAY BANANE KA TARIQA
DAHI BHALLAY K LIYEH
1. Mash Ki Daal 01 Cup2. Namak 01 Chothai ¼ Chaye Ka Chamach
3. Baking Soda 01 Chutki
4. Cooking Oil Fry Krne K Liyeh
5. Dahi 02 Cup
6. Hara Dhaniya 02 Khanay K Chamach
7. Bhuna Hua Zeera 01 Chaye Ka Chamach
8. Adrak Adha Inch Ka Tukra
9. Namak Hasb-E-Zaiqa
10. Pisi Hoe Laal Mirch 02 Chaye K Chamach
11. Cheeni 02 Chaye K Chamach
SAJAWAT K LIYE
1. Imli Ki Chatni 02 Khanay K Chamach2. Hara Dhaniya 02 Khanay K Chamach
- Daal Ko Dho Kr Raat Bhar K Liye Bhigo Den, Phir Aglay Din Daal Ko Chhan Ker Grinder Kr Len Aur Osmain Namak Aur Baking Soda Shamil Kr Den
- Ab Karahi Main Tail Garam Kren Aur Bhallon Ko Golden Brown Hone Tak Fry Kren
- Tamam Fry Kiye Howe Bhallon Kw Neem Garam Pani Main 05 Se 10 Minute K Liye Bhigo Den
- Phir Halkay Hath Se Onka Pani Nichor Ker Dish Main Nikal Len
- Ab Aik Piyalay Main Dahi Ko Achi Tarha Phaint Len
- Ab Osmain Namak, Laal Mirch, Cheeni, Bareek Kata Hua Adrak, Bhuna Hua Zeera Aur Hara Dhaniya Bhi Mix Kr Len
- Ab Dish Main Rakhay Bhallon Per Masalay Wali Yeh Dahi Itni Dalen K Bhallay Chup
- Jayen Ab Dahi Bhallon Ko Imli Ki Chatni Aur Hara Dhaniya Se Saja Kr Paish Kren
Iss tarkeeb ko PDF file main save krne k liyeh download button per click kren
Post A Comment:
0 comments so far,add yours