CHATORI DAAL Non Veg Walon K Liyeh Best Recipe Aaj hum apko chatpati chatori daal banana bataengay. tarkeeb2018.blogspot.com food recipes, hindi recipes, indian recipes, pakistani recipes
- Chanay Ki Daal 150 Garam Boil Ki Hoe
- Cooking Oil Adha Cup
- Adrak, Lehsan Ka Past 01 Khanay Ka Chamach
- Rae Dana Adha Chaye Ka Chamach
- Kalonji Adha Chaye Ka Chamach
- Maythi Dana Adha Chaye Ka Chamach
- Kuti Hoe Sounf 01 Chaye Ka Chamach
- Kuta Howa Zeera 01 Khanay Ka Chamach
- Kuta Howa Dhaniya 01 Khanay Ka Chamach
- Darmiyani Bareek Kati Hoe Piyaz 01 Adad
- Oblay Aur Katay Howe Tamatar 03 Adad
- Loky 01 Adad Darmiyanay Size Ki
- Imli Ka Past 01 Chothai Cup
- Curri Pata 01 Adad
- Haldi 01 Chaye Ka Chamach
- Namak Hasb-E-Zaiqa
- Kuti Hoe Laal Mirch 01 Chaye Ka Chamach
- Pisi Hoe Laal Mirch 01 Chaye Ka Chamach
- Pani 01 Cup
- Aam Ka Achar 50 Garam
- Hara Dhaniya 01 Chothai Gathi
- Hari Mirchen 03 Se 04 Adad
- Pehle Aik Karahi Main Tail Garam Kr K Adrak, Lehsan Ka Past, Rae Dana, Kalonji, Maythi, Sounf, Zeera Aur Dhaniya Daal Kr Chund Second K Liyeh Bhoon Len
- Phir Osmain Piyaz Shamil Kr K Itna Pakayen K Wo Achi Tarha Naram Ho Jaye
- Sath Main Tamatar, Loky Aur Imli Ka Past Bhi Shamil Kr Den
- 1 Se 2 Minute Tak Bhonne K Baad Osmain Curry Pata, Haldi, Namak, Kuti Hoe Laal Mirch, Pisi Hoe Laal Mirch Aur Pani Shamil Kr Den
- 1 Se 2 Minute Tk Pakanay K Baad Boil Ki Hoe Chanay Ki Daal Shamil Kr K Dhak Ker Dam Per Pakne Den
- 8 Se 10 Minute Baad Dhakan Hata Kr Aam Ka Achar, Hara Dhaniya Aur Hari Mirch Shamil Kr K Aanch Taiz Kr K Bhoonen Aur Garam Garam Paish Kren
Post A Comment:
0 comments so far,add yours