HYDERABADI CHICKEN BIRYANI
- Chawal Adha Kilo
 - Murghi 3 Paao
 - Laal Mirch Powder 1 Khanay Ka Chamach
 - Namak Hasb E Zaiqa
 - Adrak, Lehsan Pa Past 2 Khanay K Chamach
 - Piyaz Hasb E Zaroorat (Tarkay K Liye)
 - Lemon 4 Adad
 - Podeena 1 Chothai Gathi
 - Hara Dhaniya 1 Chothai Gathi
 - Hari Mirch 4 Se 6 Adad
 - Kali Mirch 1 Chaye Ka Chamach
 - Sabit Elaichi 3 Se 4 Adad
 - Sabit Zeera 1 Chaye Ka Chamach
 - Zarday Ka Rang 2 Chaye Ka Chamach
 - Dahi 1 Cup
 - Doodh 2 Khanay K Chamach
 - Oil/Ghee Adha Cup
 
- Chicken Main Namak, Laal Mirch, Kaali Mirch, Lehsan Aur Adrak Ka Past, Dahi Aur Zeera Shamil Kr K Aek Ghantay K Liye Rakh Den
 
- Chawal Obaal Len Aur Osmain Podeena, Hari Mirchen, Sabit Elaichi, Namak Aur Sirka Daal Den
 
- Aek Kani Chawal Paka Kr Nikal Len
 
- Ab Aik Bartan Main Thora Sa Oil Garam Kren Aur Baghair Paani Dalay Halki Aanch Per Murghi Daal Kr Dhak Ker Pakayen
 
- Jab Murghi Ka Pani Khushk Ho Jaye Tou Dhaniya, Podeena Aur Lemon Ka Rass Daal Ker Otaar Len
 
- Ab Aik Bartan Main Thora Oil Dalen Phir Chawal Ki Taih (Layer) Phir Murghi, Past, Dhaniya, Podeena Aur Phir Baqi K Chawal Daal Den
 
- Ab Aik Darmiyanay Size K Piyaz Ko Tail Main Fry Kr K Bhagar Ker Len Aur Chawlon Per Daal Den
 
- Akhir Main Zarday Ka Rang Doodh Main Ghol Kr Aur Lemon Ka Rass Daal Kr Kuch Minutes K Liye Dam Per Rakh Den
 
Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh neechay download button per click kren 

















