February 2018





  1. Bong Ka Gosht 1 Kilo
  2. Nuly 1 Adad
  3. Namak Hasb E Zaroorat
  4. Pisi Hoe Laal Mirch 2 Chaye K Chamach
  5. Cooking Oil 2 Cup
  6. Adrak Lehsan Ka Past 2 Khanay K Chamach
  7. Aata 1 Cup
  8. Tayar Shuda Nihari Masala 4 Khanay K Chamach
  9. Maida Adha Cup
NIHARI K LIYEH MASALA BANANE K LIYE
  1. Daarcheeni 20 Gram 
  2. Long 40 Gram
  3. Javetri 20 Gram
  4. Sounf 40 Gram
  5. Khashkhaash 40 Gram
  6. Pisi Hoe Surkh Mirch 20 Gram
  7. Elaichi Choti Aur Bari 25 Gram
  8. Jayfal 1 Adad
  9. Kali Mirch 40 Gram
  10. Kachri 10 Gram
  11. Sonth 40 Gram
  12. Pisa Hua Dhaniya 20 Gram

Note: “Masalay K Tamam Ajza Ko Grinder Main Daal Ker Achi Tarha Pees Len Aur Hasb E Zaroorat Iss Recipe Main 4 Khanay K Chamach Dalen Jesa K Oper Bataya Gaya Hay”.


  • Tail Garam Kren Aur Osmain Adrak Aur Lehsan Ka Past Bhoon Len 

  • Phir Gosht K Sath Pisi Hoe Surkh Mirch, Namak Aur Nihari Masala Shamil Ker K Achi Tarha Bhoon Len Zaroorat Paray Tou Pani Ka Halka Sa Cheenta Maar Len. 

  • Ab Osmain Nuli Shamil Ker Kr K 10 Cup Pani Dalen Aur Halki Aanch Per 1 Ghantay Tak Pakne Rakh Den 

  • Ab Aata Aur Maida Pani Main Shamil Ker K Past Bana Ker Gosht Main Shamil Ker Den Aur Chamcha Musalsal Chalatay Rahen 
  • Phir Osay Halki Aanch Per 4 Ghantay K Liye Pakne Rakh Den 
  • Phir Ghee Ya Tail K Sath Piyaz Ka Bhagar Den 
  • Kati Hoe Adrak, Lemon, Hari Mirch Aur Fry Kiye Piaz K Sath Garam Garam Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liye nechay link per click kren:

ANDAY KA KHOYE WALA HALWA





  1. Anday Arahi Darjan
  2. Ghee 1 Kilo
  3. Cheeni 1 Kilo
  4. Khoya 1 Kilo
  5. Elaichi 10 Adad
  6. Pista 20 Gram
  7. Badam 20 Gram






  • Aik Piyalay Main Anday Tor Ker Osmain Ghee Aur Cheeni Shamil Ker K Achi Tarha Mix Ker Len 

  • Ab Aik Pain Main Khoye Ko Bhoonen Aur Nikal Ker Thanda Ker Len 

  • Ab Anday K Mixture Ko Pain Main Daal Ker Halki Anch Per Pakayen 

  • Phir Elaichi, Bhuna Howa Khoya Aur Khanay Ka Rang Shamil Ker K Mazeed 2 Minute Tak Pakayen 
  • Anday Ka Khoye Wala Mazedar Halwa Tayar Hai Serving Dish Main Nikal Ker Pista Aur Badam Se Garnish Ker K Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh download k button per click kren:

LAHORI MURGH CHOLAY






  1. Murghi Dairh Kilo
  2. Cholay 1 Piyali
  3. Tail 1 Piyali
  4. Bareek Kati Hoe Piyaz 2 Adad
  5. Timatar 3 Adad
  6. Haldi 1 Chaye Ka Chamach
  7. Pisa Hua Garam Masala 1 Chaye Ka Chamach
  8. Sufaid Zeera 1 Chaye Ka Chamach (Bhuna Howa + Pisa Hua)
  9. Adrak, Lehsan Ka Past 1 Khanay Ka Chamach
  10. Bareek Kati Hoe Adrak 1 Khanay Ka Chamach
  11. Pisi Hoe Laal Mirch 1 Khanay Ka Chamach
  12. Meetha Soda Adha Chaye Ka Chamach
  13. Masoor Ki Daal 2 Khanay K Chamach
  14. Namak Hasb E Zaiqa
  15. Chicken Cube 1 Adad







  • Aek Degchi Main Aek Piyali Tail Garam Ker K 2 Adad Bareek Kati Hoe Piyaz Ko Golden Brown Kren Aur Chicken Shamil Ker K Pani Khush Ker Len 
  • Ab Osmain Adrak, Lehsan Ka Past, Haldi, Pisi Hoe Laal Mirch, Pisa Hua Garam Masala Aur Hasb E Zaiqa Namak Shamil Ker K Halka Sa Bhoon Len 
  • Phir Aik Piyali Bheegay Howe Chanon Ka Pani Nikal Ker Dobara 3 Se 4 Glass Pani Aur Masoor Ki Daal Dal Ker Halki Aanch Per Pakayen 
  • Jab Osmain Obaal Ajaye Tou Adha Chaye Ka Chamach Meetha Soda Shamil Ker Den 
  • Phir Cholay Galnay Aur Daal K Sath Yakja Hone K Baad Cholha Band Ker Den 
  • Iss K Baad Chicken Main Timatar Kaat Ker Shamil Ker Den Aur Halka Sa Bhoon Ker 2 Piyali Pani Dal Den 
  • Jab Josh Ajaye Tou Osmain Cholay, Bareek Kati Hoe Adrak, Chicken Cubes Aur Sufaid Zeera Dal Ker Halki Aanch Per Dam Per Rakh Den 
  • Jab Tail Oper Ajaye Tou Tayar Murgh Cholay Garam Garam Naan K Sath Paish Kren
Iss recipe ko PDF file main save krne k liye nechay link per click kren:

ACHAARI KARELA BANANE KA TARIQA






  1. Karelay adha kilo 
  2. Piyaz 1 cup 
  3. Cooking oil adha cup 
  4. Imli 3 se 4 tukray 
  5. Adrak lehsan ka past 1 chaye ka chamach 
  6. Pisi hoe laal mirch 1 chaye ka chamach 
  7. Haldi adha chaye ka chamach 
  8. Namak 1 chaye ka chamach 
  9. Phenti hoe dahi adha cup 
  10. Cheeni 1 chaye ka chamach 

ACHARI MASALA K LIYE 

  1. Sufaid zeera 1 chaye ka chamach 
  2. Kalonji 1 chaye ka chamach 
  3. Sokhi hoe maythi adha chaye ka chamach 
  4. Sokha dhaniya 2 chaye k chamach 
  5. Soung 1 chaye ka chamach


  • Taway Per Sufaid Zeera, Kalonji, Sokhi Maythi, Sokha Dhaniya Aur Sounf Ko Bhoon Len Aur Bareek Pees Len 
Karelay K Liye
  • Karelon Ko Cheel Kr Un K Beej Nikal Len 
  • Ab Un Per Namak Laga Ker 1 Ghantay K Liye Chor Den 
  • Phir Achi Tarha Dho Len 
  • Iss K Baad Karelon Ko Pani Main Imli K Sath 5 Minute K Liye Obalen 
  • Ab Onhen Nichor Ker Tamam Pani Nikalen Aur Oil Main Fry Kr K Nikal Len 
  • Ab Tail Garam Ker K Osmain Piyaz Ko Light Golden Kren Aur Nikal Len 
  • Phir Osmain Adrak Lehsan Ka Past, Pisi Hoe Laal Mirch, Haldi, Namak Aur Dahi Shamil Ker K Karelay Fry Ker Len 
  • Sath Hi Fry Ki Hoe Piyaz, Cheeni Aur Bhoon Ker Peesa Hua Masala Daal Den 
  • Iss K Baad Dhak Ker Darmiyani Aanch Per Pakayen Yahan Tak K Wo Tayar Ho Jayen
Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh nechay link per click kren:

OVEN CHICKEN WITH VEGETABLE BANANE KA TARIQA






  1. Boneless Chicken Adha Kilo
  2. Piyaz 2 Adad
  3. Phaliyan 1 Paao
  4. Baingan 1 Adad
  5. Tamatar 2 Adad
  6. Gajar 1 Adad
  7. Aalu 1 Adad
  8. Shimla Mirch 1 Adad
  9. Lehsan K Joway 3 Adad
  10. Bhindi 1 Paao
  11. Tamatar Ka Past 2 Khanay K Chamach
  12. Namak Hasb E Zaiqa
  13. Kuti Hoe Kaali Mirch 1 Chaye Ka Chamach
  14. Makhan 4 Khanay K Chamach
  15. Paani 1 Chothai Cup
  16. Cheddar Cheese Adha Packet







  • Pehle Chicken Ko Slice Kr Len
  • Phir Piyaz, Phaliyan, Baingan, Timatar, Gajar, Aalu Aur Shimla Mirch Ko Chotay Tukron Main Kaat Len 

  • Ab Aik Bartan Main Tamam Sabziyan, Bhindi, Lehsan K Joway, Slice Ki Hoe Chicken, Timatar Ka Past, Namak, Kaali Mirch Aur Makhan Shamil Ker K Mix Ker Len. 
  • Ab Oven Proof Dish K Darmiyan Main Iss Mixture Ko Daalen 
  • Kinaron Main Thora Sa Pani Daal Ker Oven Main 180 Degree Centigrade Per 15 Se 20 Minute K Liye Bake Ker Len 
  • Jab Chicken Aur Sabziyan Achi Tarha Se Pak Jayen Tou Onhen Oven Se Nikal Len 
  • Phir Foran Kadukash Kya Hua Cheddar Cheese Chirak Ker Dobara Oven Main Rakh Ker 5 Minute Tak Bake Kren 
  • Tayar Honay Per Garam Garam Serve Kren

Iss recipe ko apne mobile ya laptop main PDF file main save krne k liyeh nechay link per click kren:

PAPAR KI SABZI BANANE KA TARIQA






  1. Darmiyanay Size K Papar 2 Se 3 Adad
  2. Cookin Oil 1 Khanay Ka Chamach
  3. Zeera 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  4. Rai Dana 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  5. Pisi Hoe Laal Mirch Adha Chaye Ka Chamach
  6. Dahi 1 Khanay Ka Chamach
  7. Haldi 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  8. Pani 1 Cup
  9. Namak 1 Chothai Chaye Ka Chamach
  10. Kata Hua Hara Dhaniya 1 Chaye Ka Chamach






  • Aik Bartan Main Tail Garam Ker K Zeera Aur Rai Ke Daal Kr Fry Kr Len 
  • Phir Pisi Hoe Laal Mirch, Dahi, Haldi, 1 Cup Pani Aur Namak Daal Ker Pakayen 
  • Jab Obaal Ajaye Tou Papar Aur Hara Dhaniya Daal Ker 3 Se 4 Minutes K Liye Pakayen Aur Chapatti K Sath Paish Kren
Iss recipe ko apne mobile ya laptop main PDF file main save krne k liyeh nechay diyeh gaye link per click kren:


BHINDI MASALA

  1. Bhindi Adha Kilo
  2. Adrak Pisi Hoe Adha Chaye Ka Chamach
  3. Lehsan Pisa Hua Adha Chaye Ka Chamach
  4. Kuti Hoe Mirch 1 Chaye Ka Chamach
  5. Cooking Oil Adha Cup
  6. Timatar Katay Howe 1 Cup
  7. Piyaz Slice Kiye Howe 1 Adad
  8. Sufaid Zeera 1 Chaye Ka Chamach
  9. Namak Hasb E Zaiqa
  10. Haldi Adha Chaye Ka Chamach






  • Bhindi Ko Achi Tarha Dho Kr Motay Tukray Kaat Len
  • Ab Oil Ko Garam Kr K Osmain Piyaz Ko Halka Brown Kr Len
  • Phir Osmain Sufaid Zeera, Adrak, Lehsan, Haldi, Namak, Mirch Daal Kr Bhoon Len
  • Phir Osmain Timatar Shamil Kr Den Aura Chi Tarha Bhoon Len
  • Ab Osmain Bhindi Shamil Kr K 30 Minute Taka Chi Tarha Pakayen K Bhindi Gal Jaye
Mazedar Bhindi Ki Sabzi Tayar Hai

Iss redipe ko apne mobile ya computer main PDF file main save krne k liyeh nechay button per click kren.

FRYING PAN PIZZA







CHICKEN TIKKA K LIYE


  1. Chicken Breast 2 Adad 
  2. Adrak, Lehsan Past Adha Chaye Ka Chamach 
  3. Namak Adha Chaye Ka Chamach 
  4. Mirch Powder Adha Chaye Ka Chamach 
  5. Bhuna Howa Zeera Powder Adha Chaye Ka Chamach 
  6. Lemon Ka Rus 2 Khanay K Chamach 
  7. Dahi 1 Khanay Ka Chamach 

DOE K LIYE


  1. Medah (Flour) Dairh Cup 
  2. Namak Adha Chaye Ka Chamach 
  3. Khameer 1 Chaye Ka Chamach 
  4. Coaster Suger 1 Chaye Ka Chamach 
  5. Oil 3 Se 4 Khanay Ka Chamach 
  6. Pani Hasb E Zaroorat 

TOPING K LIYEH


  1. Pizza Sauce 4 Khanay K Chamach 
  2. Piyaz 2 Adad Slice Ki Hoe 
  3. Raishay Dar Chicken Tikka Adha Cup 
  4. Timatar 1 Adad Kata Howa 
  5. Shimla Mirch 1 Adad Kati Hoe 
  6. Mushroom 3 Adad Slice Kiye Howe 
  7. Oregano Patay 1 Chaye Ka Chamach 
  8. Cheddar Cheese Adha Cup Kadukash Ki Hoe 
  9. Oil 4 Khanay K Chamach











CHICKEN TIKKA K LIYEH 


  • Aik bartan main 2 adad chicken breast k tukray shamil kren aur adrak, lehsan ka past, namak, mirch poweder, bhuna howa zeera, lemon ka rus aur dahi k sath marinate kren 

  • 15 minute k liyeh chicken ko alag rakh den ta k achi tarha marinate ho jaye 

  • Phir osay chicken gal janay tak grill kren 

  • Akhir main garam koiylay (coal) chicken per phila den aur thora sa oil chirak den aur dhamp kr 10 minutes k liye chor den 

PIZZA K LIYEH


  • Aik piyalay main meda, namak, khameera, oil aur coaster sugar mix kr len 

  • Phir neem garam pani k sath amaizah achi tarha goondh len 

  • Ab iss doe ko 30 minutes k liye dhamp kr aik side per rakh den 

  • Phir doe ko 9 inch ky pizza ki shakal main roll kren 

  • Frying pan main 2 khanay k chamach cooking oil daal kr halki aanch per garam kren 

  • Doe ko 3 minutes k liyeh aek side se garam kr len phir osay palat ker dosri side bhi 2 khanay k chamach oil k sath halka sunhera kr len 
  • Phir os k oper pizza sauce phaila den
  • Sauce k sath piyaz, chicken tikka, shimla mirch aur mushroom k sath toping kren
  • Oregano patay aur kadukash ki hoe cheddar cheese pizza per chirak den 
  • 5 minute k liye grill kr len yahan tak k cheez pighal jaye 
Frying pan pizza tayar hai tukron main kaat kr garam garam serve kren


Iss recipe ko PDF file main save krne k liyeh nechay button per click kren:

HAREESA BANANA KA TARIQA






  • Gosht 01 Killo (Baghair Haddi)
  • Sabit Moong Ki Daal Adhi Chatank 
  • Chawal Adha Chatank
  • Gandum 01 Paao
  • Pisi Hoe Kaali Mirch 04 Chaye K Chamach
  • Adrak Hasb-E-Zaroorat
  • Lehsan Hasb-E-Zaroorat
  • Piyaz Hasb-E-Zaroorat
  • Ghee Hasb-E-Zaroorat
  • Namak Hasb-E-Zaiqa






  • Chawal Aur Daal Ko Aik Sath Obaal Len Aur Gandum Ko Bhigo Ker Rakh Den 

  • Ghee Main 2 Darmiyanay Size K Piyaz Kaat Len 

  • Jab Piyaz Laal Ho Jayen Tou Osmain Gosht Bhi Shamil Kr Len 

  • Iss K Sath He Adrak Aur Lehsan Ko Koot Kr Shamil Kr Den 

  • Jab Gosht Ka Pani Khushk Ho Jaye Tou Osmain Gosht Galane Jitna Paani Daal Den 
  • Jab Gosht Achi Tarha Gal Jaye Tou Osay Pani Se Nikal Kr Mota Mota Koot Len 
  • Iss Kotay Howe Gosht Ko Dobara Dosre Saaf Pani Main Daal Den Aur Os K Sath Gandum Aur Obli Hoe Daal Aur Chawal Bhi Shamil Kr Den Aur Osay Pakne Den 
  • Agar Zarorat Paray Tou Mazeed Pani Bhi Daal Den 
  • Thori Dair Baad Gandum Ka Dana Nikal Ker Check Kren Agar Achi Tarha Gal Gaya Ho Tou Osmain Ghotna Chalayen Aur Pakatay Rahen Ta K Sab Cheezain Achi Tarha Yakja Ho Jayen Aur Onki Lae Si Ban Jaye 
  • Iss K Baad Osmain Kaali Mirch Aur Namak Daal Den 
  • Ab Kisi Alag Bartan Main Ghee Daal Kr Osmain Piyaz Kaat Kr Dalen Aur Jab Khasta Ho Jayen Tou Nikal Len 
  • Yeh Piyaz Nikala Hua Garam Garam Ghee Hareesa Per Daal Den Aur Sath Chamach Bhi Chalayen 

Mazedar Harisa Tayar Hai۔


Iss recipe ko apne mobile main PDF file main save krne k liyeh nechay button per click kren